1. chocolate ka tukra aik khanay ki cheaz k tor par shamil kia gaya hai, jo player ki sehat barhaay ga, mazeed maloomat k liye madad k mawad say chocolate k kar-khanay k mission ki madad ko parhain.
2. quest Guajajara ko bachana bana dia gaya hai
3. bijli or paani k bill ab khud ba khud adda keay ja saktay hain, computer may khud kaar adaaigi k nizaam ko fa aal kar k.
4. doosri jang-e-azeem ki taqreeb shaamil key gai hai.
5. clan k leay khasoosi cheazain banai gai hain:
5.1. Clan ka portal, jo player ko bagair kisi rukaawat k clan may ponchaata hai, yeh daikhay bagair k player iss waqat kahan hai.
5.2. wasool karnay wala, yeh player ko mutla karnay k kaam aata hai k clan par hamla ho raha hai.
6. khail ka kamra shamil kia gaya hai, in nai zabardast khailon k saath.
6.1. aawaz or qismat: iss may aap awaz, or qismat k zariay paisay jheet saktay hain,  sharat k mutaabik jo aap nay lagai hogi. 
6.2. Lucky Roulette: do players deay gay number may say koi aik muntakhib kar k sharat lagaain gay, Roulette:  agar ghoom k kisi number par aa gai, jo sharat wala hua, to wo player jheet jaay ga.
6.3. Audio disc: yeh game do logon k darmayan khaili jaati hai. aik player aik disk ko mukhtalif itraaf may phainkta hai, or doosray ka kaam usay rokna hota hai.
6.4. zaati noiyat ka arena: player apna areena khud banata hai, jis may wo khud muntakhib kar sakay ga, k players kis tarhan say hazir hon, apni sehat bahal kar sakain ya nahi, jaadu ki charri ka istamal kar sakain ya nahi, or sharat ki had bandi wegera.
6.5. Truco: Card game, iss may 12 may say 2 round jheetna maksad hota hai, or yeh game team may b khaili ja sakti hai, or joriyon ki shakal may b.
6.6. Trinca: card wali game, jis may teen cards aik hee jaisay teen hee qismo k jama karnay hain.
6.7. Jokenp: aik mashhoor pathar, kaagaz, or kainchi wala khail, likan thora sa behtar kia hua.
7. doosri duniya may rehnay ka waqat ab teen minutes say kam kar k aik minute kar dia gaya hai, or ab iss nakshay say bahir aana mumkin nahi.
8. doosri duniya wala spell ab siraf un players par kaam karay ga jin ki resurrection 200 say uper hogi
9. assparator ko dobara shamil kar dia gaya hai, likan ab aisa nahi ho sakta k issay istamal kartay huay taser ki madad say player ko saaqat kia ja sakay, or yeh b mumkin nahi k agar aik player issay kisi doosray par istamal kar raha hai, to koi or b usi player par issay istamal karay.
10. Aspirator, dhamaka khaiz tape, or guided micil ab resurrection 100 say neechay k players par kaam nahi karain gay.
11. f 10 k menu may ab aap k team k logon ki beep ko band karnay ka option day dia gaya hai.
12. f 10 k menu may ab pasifist player ki beep ko band karnay ka option day dia gaya hai.
13. Arena or melee arena  game say nikaal deay gay hain
14. kaagaz ka packet lainay k leay ab, 20 nahi, 50 lakri darkar hogi.
15. coffee ko aik mashroob k tor par shamil kia gaya hai, aik taqat war mashroob. mazeed maloomat k liye coffee bananay walay mission ko parhain, madad k mawad may.
16. nai awazain shaamil key gai hain:
16.1. Afeena
16.2. Chapo;
17. Nay nakshay shaamil keay gay hain:
17.1. Amazon ka barish wala jungle,;
17.2. pani wala farm;
17.3. ajeeb shehar;
18. enter say kisi player ko cheazain daina ab game may shaamil nahi, haan iss ka mutabadil nizaam chat may doh nai commands shaamil kar k kar dia gaya hai, jo hain, /n or /nl
19. Nay missions shaamil keay gay hain:
19.1. chocolate k kar-khaanay may chocolate bananay ka mission;
19.2. coffee bananay ka mission;
20. nay phal jo shaamil keay gay hain:
20.1. leembu;
20.2. Malta;
21: ab yeh mumkin hai k clan ki sarbarahi kisi doosray tak muntakil key ja sakay.